Welcome to my blog, hope you enjoy reading :)
RSS

Wednesday, January 21, 2009

Nanha sa ladka tha jin dinoon....


Ek chota sa, nanha sa ladka tha main jin dinoon

Ek mele main pahuncha jhoom kar chalta hua.............

Ji machalta tha mera, Har kisi shay per magar

Jaib khali thi or mai kuch Kharid hi na saka
.............

Lot aaya dil mai liye, hasratain main sainkaroon


Ek chota sa, nanha sa ladka tha main jin dinoon
.............

Khair mehromioon kay wo din toh ab chale gaye

Aaj mela laga... phir laga hai apni usi purani shaan se
.............

Aaj chahoon to Har Ek dukaan Kharid loon main


Aaj chahoon to sara jahan kharid loon main
.............

Par ab dil mai mere wo andaaj dhadka kahan?

Par ab woh chota sa, wo alhar sa ladka kahan
.............


Saturday, January 17, 2009

PYAAR.....

Pyaar ka dusra naam judai hai fir bhi insaan pyar kyun karta hai?

reh reh k umeeday totti hai ismay fir bhi kisi pe aitbaar kyu karta hai?

kabhi maa baap raazi nahi hotay to kabhi haalaat apna khel khel jati hai,


na janay pyar me aisi kaun si shakti hai to chuppi sadhay ye sabkuch jhel jati hai.

koi pyar me bichar jata hai to koi apni jaan gawata hai,

koi dilo ko torta hai to koi jism se jism milata hai..

yadi lagta hai ki pyar pura nahi kar saktay to suruwat kartay kyun ho yaro,


jab pyar karnay ki galti kar baithtay ho to maa baap se dartay kyun ho pyaro.

agar kisi k sapno ko pura nahi kar saktay to un sapno ko dikhatay kyun ho,

de nahi saktay kisi ko chand pal ki khushiya to unhay zindgi bhar rulatay kyun ho.


pyar dhai sabdo ka maill hai par eska roop vishal hai,

jodiya upar se ban k aati hai,ye bhi to kudrat ka hi ek kamaal hai.

waipaar mat karo pyar ka,pyar se pyar karo,


agar kar baithay pyar karnay ki galti to fir ab kisise mat daro.