Welcome to my blog, hope you enjoy reading :)
RSS

Friday, July 10, 2009

. . . Jab bhi barish hoti hai

Dosto Adab...
barish ki boondon ne kuch kaha hum se so aap se ye ehsaas baatne laaya hu ummeed hai ki bahut se dil bhigenge...

Jab bhi barish hoti hai
Dil me ek khwahish hoti hai
Thaam kar dil haaton may

Kho jaaoon uski baaton may

thandi hawaao ke jhokhe

Ab koi kaise khud ko roke

Ek mastani si leher uthti hai

Pyaas nazar ki kab bujhti hai

Shor Rim Jhim boondon ka

Chain churaye nindon ka

Haal bura hai furkhat mein

Kya ayenge vo fursat mein

Aas mein unki ji lunga

Sawan ke sang ashk pilunga

Khoon-e-jigar kab kya kehti hai

Bethi hai chup rehti hai

Saare zakhm sanwar jaayenge

Jo piyu ki ek nazar paayenge

Dekh deewane dil ki betabi

Her simta vo chehra mahatabi

Kal ki kis ko hai yaha khabar

Mere sanam ab der na kar

Phir jazbaaton ki ye baarish ho na ho

Tujh may mujh may ye kashish ho na ho

Aake ji loon main in lamhon ko

Utaar de chaand may apne jalwon ko...